Aasaan Deen Part 113
✾✵✾
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
*Bismillahirrahmanirrahim*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ Aasaan Deen ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*❥ Part - 113 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
❧ Bahre haal aurton ke haq mein har etebaar se yahi munaasib hai ke woh gharon mein rahein aur bila zaroorat ghar se baahar na phira karein, lekin agar kisi zaroorat ki wajah se nikalna pade to parde ka poora khayaal rakhein, sar se paaon tak naqaab ya lambi chaadar se apne poore jism ko chhupa lein, libaas bhadakdaar aur purkashish pahen kar na niklein, phailne waali khushbu laga kar na niklein, taake logon ki nigaahein us ki taraf na uthhein, raaston ke kinaare par chalein, raaston ke darmiyaan se nahin chalna chaahiye.
❧ Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Aurton ke liye raaste ke liye raaste ka darmiyaani hissa nahin hai.
📓 [Sho'abul Imaan: 7623]
❧ Raasta bhi maamoon aur mahfooz hona chaahiye, kahin aisa na ho ke fitna wa fasaad mein mubtela ho jaayein, agar kisi shadeed zaroorat ke waqt kisi mard se kuchh baat karni pade, to baqadre zaroorat mukhtasar baat karein aur tursh aur teekhe lehje mein baat karein, narm andaaz mein guftagu bilkul na karein.
❧ Allah Ta'ala ka irshaad hai: Tum nazaakat ke saath baat mat kiya karo, kabhi koi aisa shakhs beja laalach karne lage jis ki dil mein rog hota hai, aur baat woh kaho jo bhalaai waali ho.
📓 [Sura-e-Ahzaab: 32]
(..Next - 114, Soon In Sha Allah..)
*✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
Comments
Post a Comment