Aasaan Deen Part 122
✾✵✾
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
*Bismillahirrahmanirrahim*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ Aasaan Deen ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*❥ Part - 122 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
❧ Hadees mein hai ke ek martaba Umme Salma aur Hazrat Memoona RaziyAllahu anha Huzoor ﷺ ke paas baithhi hui theen, yeh donon Huzoor ﷺ biwiyaan hain, itne mein Hazrat Abdullah bin Umme Maktoom RaziyAllahu anhu bhi wahaan aagaye, yeh ek naabeena sahaabi the, Huzoor ﷺ ne apni donon biwiyon ko hukm diya ke tum donon in se parda karo. Is par Hazrat Umme Salma RaziyAllahu anha ne kaha: Ya Rasoolullah! Kya woh naabeena nahin hain? Ham ko to nahin dekh rahe hain, aur na hi pehchan rahe hain, Aap ﷺ ne farmaaya: Kya tum donon bhi andhi ho, kya tum unhein nahin dekh rahin ho?
📓 [Tirmizi: 2878]
❧ Gaur karna chaahiye ke ek taraf Huzoor ﷺ ki intehaai nek aur paak baaz biwiyaan theen aur doosri taraf intehaai nek sahaabi the, yahaan to kharaab niyyat ka shuba bhi nahin tha, magar is haalat mein bhi Allah ke Rasool ﷺ ne un ko parda karne ka hukm diya. To phir aaj kal jabke haalaat bahot hi ziyaada kharaab hain, gunaahon ki kasrat hai, har taraf be hayaai aur be sharmi ki baatein paai jaati hain aur shaitaan insaanon ko gunaah mein mubtila karne ki poori koshish kar raha hai, to aise haalaat mein parde ki paabandi karne, nigaahein neechi rakhne aur gair mehram mardon ki taraf taak jhaank na karne ki kitni sakht zaroorat hai.
❧ Is daur mein kuchh aurton ki yeh haalat hai ke woh mardon ko taakti rehti hain, shaadi biyaah ke mauqe par "Salaami" ke naam par doolhe ko andar bula kar dekhti rehti hain yeh saraasar be sharmi aur be gairati hai aur gair Islaami tareeqa hai oopar ki Hadees mein gaur karein ke kitni sakhti ke saath Huzoor ﷺ ne naabeena sahaabi ko dekhne se mana farmaadiya, is liye tamaam aurton ko is par amal karna chaahiye aur gair mehram mardon ko dekhne se ijtinaab karna chaahiye.
*(..Alhamdulillah Mukammal..)*
*✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
*👇🏿For Old Parts Visit Link👇🏿*
www.Aasaandeen.blogspot.com
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
Comments
Post a Comment