Aasaan Deen Part 61

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                   *❥ Part - 61 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​

❧ Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu anhum ke dil mein ziyaada se ziyaada sawaab haasil karne ka shauq wa jazba koot koot kar bhara huwa tha, woh nek kaamon mein badh chadh kar hissa late the, ek dafa ka zikr hai ke kuchh gareeb Sahaaba RaziyAllahu anhum pyaare Nabi ﷺ ki khidmat mein aaye aur arz kiya: Ya Rasoolullah! Maaldaar log Jannat ke oonche oonche darje haasil kiye jaarahe hain (aur ham log gareebi ki bina par us se mahroom ho jaate hain)

❧ Rasoolullah ﷺ ne poochha: Woh kaise? Unhon ne jawaab diya ke ham log namaaz padhte hain aur woh bhi namaaz padhte ham, ham rozah rakhte hain aur woh bhi rozah rakhte hain, magar woh log sadqa-o-khairaat karte hain aur ham us nek kaam se mahroom reh jaate hain, woh gulaam aazaad karte hain aur ham gulaam aazaad nahin kar sakte (is tarah un ki nekiyaan ham se badh jaati hain)

❧ Huzoor ﷺ ne farmaaya: Kya main tumhein aisi cheez na bataadoon, jis par tum amal kar ke un logon ke sawaab ko paaloge jo tum se aage nikal rahe hain aur sawaab mein un logon se aage nikal jaaoge jo tum se peechhe hain? Un Sahaaba ko badi khushi hui, Unhon ne kaha: Ya Rasoolullah! Zaroor bata dijiye,

❧ Huzoor ﷺ ne farmaya: Har namaaz ke baad
33 martaba *Subhaanallaah*
33 martaba *Alhamdulillaah*
33 martaba *Allaahu Akbar* aur
10 martaba *Laailaahaa illallaah*
padh liya karo.

  (..Next - 62, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book

   *Download App​​​​ Goo.gl/SB46QM*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30