Aasaan Deen Part 76

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                   *❥ Part - 76 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​

❧ Rasoolullah ﷺ ka irshaad hai: 7 mohlik aur tabaahkun gunaahon se bacho, Sahaaba ne arz kiya: Ya Rasoolullah! Woh kaun se 7 gunaah hain? Aap ne irshaad farmaaya: Allah ke saath (us ki zaat ya sifaat ya af'aal mein kisi ko) shareek karna aurjaadu karna aur naahaq kisi aadmi ko qatl karna aur sood khaana, aur yateem ka maal khaana aur (apni jaan bachaane ke liye) jihaad mein Lashkar-e-Islaam ka saath chhod kar bhaag jaana aur Allah ki paak daaman bholi bhaali bandiyon par zina ki tohmat lagaana.

📓 [Sahih Bukhaari: 2766]

❧ Ek Hadees mein hai ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya ke sood khori ke 70 hisse hain, un mein se adna aur maamooli aisa hai jaise ke apni maan ke saath munh kaala kare.

📓 [Ibne Maaja: 2274]

❧ Ek riwaayat mein hai ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya ke jis raat mujhe Meraaj hui mera guzar ek aise groh par huwa jin ke pet gharon ki tarah hain aur un mein saanp bhare huwe hain jo baahar se nazar aate hain, mein ne Jibraeel se poochha ke yeh kaun log hain? (jo aise azaab mein mubtila hain) unhon ne batlaaya ke yeh sood khor log hain.

📓 [Ibne Maaja: 2273]

  (..Next - 77, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book

  Islamicgrp.weebly.com
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30

Aasaan Deen Part 61