Aasaan Deen Part 55

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                   *❥ Part - 55 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​

❧ Ek hadees mein Aap ﷺ farmaaya: Tamaam gunaahon mein se Allah Ta'ala jitna chaahte hain maaf farma dete hain, lekin maan baap ko sataane ka gunaah aisa hai ke Allah Ta'ala us gunaah ke karne waale ko maut se pehle duniya hi ki zindagi mein saza de dete hain.

📓 [Sho'abul Imaan: 7890]

❧ Ek doosri hadees mein Huzoor ﷺ ne farmaaya: Waalidain ki naafarmaani karne se bacho, kyun ke Jannat ki khushbu ek hazaar saal ki doori se mahsoos hoti hai. Allah ki qasam! Waalidain ka naa-farmaan us ki khushbu bhi nahin soongh paayega.

📓 [Tabraani Ausat: 5664]

❧ Lihaaza ham logon ko bhi apne waalidain ki naafarmaani karne aur unhein kisi bhi tarah ki takleef pahonchaane se bachna chaahiye, agar ham apne waalidain ko takleef pahonchaaeinge, to Allah Ta'ala ham se naaraaz ho jaaeinge aur duniya wa aakhirat mein bahot sakht saza deinge.

  (..Next - 56, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book

   *Download App​​​​ Goo.gl/SB46QM*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30

Aasaan Deen Part 61