Aasaan Deen Part 67

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                   *❥ Part - 67 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​

❧ ...Woh Deccan ke governor bhi rahe, unhon ne Deccan ke kisaanon ki haalat sudhaari aur us ko mugliya hukoomat ka khush haal ilaaqa bana diya. Is ke baad woh Sindh ke bhi governor rahe aur use bhi khoob taraqqi di, phir woh jab baadshah bane to hamesha apni riaaya ke saath adl-o-insaaf aur husne sulook ka muaamla karte, hatta ke unhon ne poore mulk mein yeh elaan kar diya tha ke agar koi baadshah par muqaddama chalaana chaahe to woh muqaddama chala sakta hai, mulk mein hazaaron masjidein banwaai, gair muslimom ki paath shaalaaon aur kai ibaadat gaahon ke liye jaageerein deen, gareebon, langdon, loolon aur andhon ke liye “Mohtaaj khaane" qaaim kiye aur un ko khaana, kapda hukoomat ki taraf se diya karte,

❧ Baadshah hone ke baawajood sarkaari aamdani apne zaati kharch mein istemaal nahin karte the, woh samajhte the ke yeh riaaya ka maal hai aur us ko un hi par kharch hona chaahiye. Woh apna kharch topi si kar aur Qur‘aan Majeed likh kar poora karte the, un ko awaam mein kaafi maqbooliyat haasil thi, isi wajah se jab shaher Ahmad Nagar mein un ka inteqaal ho gaya aur un ki Naa'sh Aurangabad laayi gai to raaste bhar log zaar-o-qataar ro rahe the.

  (..Next - 68, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book

   *Download App​​​​ Goo.gl/SB46QM*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30

Aasaan Deen Part 61