Aasaan Deen Part 77
✾✵✾
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
*Bismillahirrahmanirrahim*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ Aasaan Deen ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*❥ Part - 77 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
❧ Lihaaza hamein sood jaisi laanat ko apne muaashare se khatm kar dena chaahiye aur aisi halaakaton aur barbaadiyon se apne aap ko bachaana chaahiye ke sood se bazaahir maal badhta to hai magar haqeeqat mein is ka anjaam kami hota hai aur ek na ek din insaan ko maal ki killat ka saamna karna padta hai. Aur chain-o-sukoon se mahroomi to mustaqil rehti hai. Soodi kaarobaar ki hurmat ke baawajood jo log is se baaz na aayein khudaawandi qaanoon ki naafarmaani karein to un ke khilaaf Allah aur us ke Rasool ki taraf se Elaan-e-Jang hai.
❧ Qur'aan-o-Hadees mein waarid sood ki hurmat wa laanat aur us par bayaan karda azaab ki wa'eed se maaloom hota hai ke Allah aur us ke Rasool ﷺ ki nigaah mein yeh gunaah sab gunaahon se ziyaada shadeed wa galeez hai. Saari ummat ko Allah is se mahfooz farmaaye. Aameen.
(..Next - 78, Soon In Sha Allah..)
*✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
*Download App* Goo.gl/SB46QM
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
Comments
Post a Comment