Aasaan Deen Part 63

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                   *❥ Part - 63 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​

*​(28)➾ Rishwat lene aur dene waale*

❧ Maal-o-Daulat Allah Ta'ala ki badi nemat hai use Allah ke hukm ke mutaabiq hi kamaana aur kharch karna chaahiye, Qayaamat ke roz insaan se is ke baare mein bhi poochha jaayega ke maal kahaan se kamaaya aur kahaan kharch kiya? Is liye maal haasil karne aur us ke kharch karne mein sharee'at ka khoob paas wa lihaaz rakhna chaahiye aur us ki khilaaf warzi se bachte rehna chaahiye. Agar maal ko galat tareeqe se haasil kiya gaya ya naajaaiz jaghon mein kharch kiya gaya to dunyawi zindagi mein bechaini ka sabab aur aakhirat mein sakht wabaal ka zariya hoga.

❧ Maal ke haasil karne ke beshumaar zaraaye aur us ke kharch karne ke muta'ddad maqaamaat hain. Magar sab jaaiz aur pasandeedah nahin, balke baaz naajaaiz aur sakht naapsandeedah hain. Minjumla un ke ek rishwat lena aur dena bhi hai. Rishwat lene dene sharee’at mein bada gunaah aur Allah ki laanat ka sabab hai. Jaisa ke Hadees paak mein waarid huwa hai ke Rasoolullah ﷺ ne laanat farmaai rishwat dene waale aur rishwat lene waale par.

📓 [Abu daawood: 3580]

  (..Next - 64, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book

   *Download App​​​​ Goo.gl/SB46QM*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30

Aasaan Deen Part 61