Aasaan Deen Part 53

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                   *❥ Part - 53 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​

❧ Ek doosri Hadees mein hai ke Aap ﷺ ne ek din Sahaaba RaziyAllahu Anhum se irshaad farmaaya aur teen dafa irshaad farmaaya: Kya main tum ko bataaoon ke sab se bade gunaah kaon kaon se hain? Phir Aap ﷺ ne farmaaya: Allah ke saath shirk karna, maan baap ki naafarmaani karna aur muaamlaat mein jhooti gawaahi dena aur jhoot bolna, Raawi ka bayaan hai ke pehle Aap sahaara lagaaye huwe baithhe the lekin phir seedhe ho kar baithh gaye aur baar baar Aap ﷺ ne is irshaad ko dohraaya, yahaan tak ke ham ne kaha ke kaash ab aap khaamosh hojaate. Yaani us waqt Aap par aisi kaifiyat taari thi aur Aap aise josh se farma rahe the ke ham mahsoos kar rahe the ke Aap ke Qalb-e-Mubaarak par is waqt bada bojh hai, is liye ji chaahta tha ke us waqt Aap khaamosh ho jaaein aur apne dil par itna bojh na daalein.

📓 [Sahih Bukhaari: 2654]

❧ Aap ﷺ ne jhooti gawaahi ki qabaahat jahaan apne mubaarak irshaad se bataai, waheen apne amal se bhi zaahir farmaaya ke yeh kitna sakht aur bura amal hai. Allah Ta'ala hamein is buraai ka ehsaas ata farmaaye aur is gunaah se hamaari hifaazat farmaaye.

  (..Next - 54, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book

   *Download App​​​​ Goo.gl/SB46QM*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30

Aasaan Deen Part 61