Aasaan Deen Part 52

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                   *❥ Part - 52 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​

*(23)➾ Jhooti gawaahi na dena*

❧ Gawaahi dar'asl us amaanat ki adaaigi ka naam hai, jo gawaahi dene waale ke paas us qaziyye aur muaamle ke baare mein sahi soorat-e-haal ke ilm aur sachchi baat ki shakl mein maujood hai jis ke baare mein woh gawaahi de raha hai. Goya gawaahi dene waala apni baat mein sachcha hota hai, is liye gawaahi dene waale ko sach ka daaman nahin chhodna chaahiye. Aur apne maqaam wa martabe ka paas wa lihaaz rakhna chaahiye ke Allah Ta'ala ne Qur‘aan Majeed mein na sirf Ambiya aur Malaaika ke liye shaahid aur shaheed ke alfaaz istemaal kiye hain, balke khud apne aap ko bhi is lafz se yaad kiya hai. Alaawah azeen Hadees-e-Paak mein Rasoolullah ﷺ ne gawaahon ka ikraam karne ka hukm diya hai. Kyun ke gawaahon ke bayaan se hi haq wa baatil aur sahi wa galat mein imtiyaaz hota hai, is liye gawaahon ko apni baat mein sachchaai ikhtiyaar karni chaahiye ke jhoot bolna bahot bada gunaah hai.

❧ Hadees-e-Paak mein jhooti gawaahi dene ko kabeera gunaah bataaya hai aur us ki buraai wa kharaabi bataai gai hai. Chunaanche Rasoolullah ﷺ ne ek din subah ki namaaz padhi, jab Aap namaaz se faarig huwe to ek dam khade ho gaye aur farmaaya ke jhooti gawaahi Allah ke saath shareek thhehraane ke baraabar kar di gai hai, yeh baat aap ne 3 dafa irshaad farmaai aur Sura-e-Haj ki yeh aayat tilaawat farmaai

فَاجۡتَنِبُوا الرِّجۡسَ مِنَ الۡاَوۡثَانِ وَ اجۡتَنِبُوۡا  قَوۡلَ  الزُّوۡرِ ‌‌‌۝ حُنَفَآءَ لِلّٰہِ غَیۡرَ  مُشۡرِکِیۡنَ بِهٖ ؕ

📓 [Sura-e-Haj: 30]

(Buton ki yaani but parasti ki gandagi se bacho aur jhooti baat kehne se bachte raho, sirf ek Allah ke ho kar raho kisi ko us ke saath shareek na karte huwe.)

📓 [Abu Daawood: 3599]

  (..Next - 53, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book

   *Download App​​​​ Goo.gl/SB46QM*
  *www.aasaandeen.blogspot.com*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30

Aasaan Deen Part 61