Aasaan Deen Part 59
✾✵✾
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
*Bismillahirrahmanirrahim*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ Aasaan Deen ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*❥ Part - 59 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
❧ Is haqeeqat par dil se yaqeen kar ke apne tamaam maqaasid aur kaamon mein sirf Allah Ta‘ala ki zaat par etemaad aur bharosa karna, usi se law lagaana, usi ki qudrat aur usi ke karam par nazar rakhna, usi se ummeed ya khauf hona aur usi se dua karna wagaira ka naam tawakkul hai. Zaahiri asbaab wa tadaabeer ko chhod dena tawakkul ke liye laazim nahin hai. Balke asbaab ke hote huwe bhi Allah par bharosa aur etemaad karna chaahiye.
❧ Allah Ta'ala par tawakkul wa etemaad ki ahaadees mein badi taakeed aayi hai aur us ki fazeelat bataai gai hai, chunaanche Rasoolullah ﷺ irshaad farmaaya ke meri ummat mein se 70,000 bagair hisaab ke Jannat mein jaaeinge. Woh woh bandagaane khuda honge jo mantar nahin karaate, shugoone bad nahin lete aur apne parwardigaar par tawakkul karte hain.
📓 [Sahih Bukhaari: 6472]
❧ Ek aur hadees mein tawakkul ki targeeb dete huwe Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya ke agar tum log Allah par aisa tawakkul aur aisa etemaad karo jaisa ke us par tawakkul karne ka haq hai to tum ko woh is tarah rozi de jis tarah parindon ko deta hai, woh subah ko bhooke apne aashiyaanon se nikalte hain aur shaam ko pet bhare waapas aate hai.
📓 [Tirmizi: 2344]
(..Next - 60, Soon In Sha Allah..)
*✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
*Download App Goo.gl/SB46QM*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
Comments
Post a Comment