Aasaan Deen Part 56
✾✵✾
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
*Bismillahirrahmanirrahim*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ Aasaan Deen ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*❥ Part - 56 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*(25)➾ Gaali galoch se bachna*
❧ Islaam ne zabaan ki hifaazat karne aur us ko galat istemaal se bachaane ka hukm diya hai, ek sachche pakke momin ki shaan yeh hai ke woh narm mizaaj aur sheereen kalaam karne waala hota hai, us ki zabaan se gandi baatein, gaali galoch aur akhlaaq se gire huwe alfaaz nahin nikalte, woh kisi ko taana nahin deta aur na woh kisi par laanat karta hai.
❧ Hazrat Abdullah bin Mas'ood RaziyAllahu Anhu se riwaayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Momin taana dene waala, laanat karne waala, gandi baatein karne waala aur behaya nahin hota.
📓 [Tirmizi: 1977]
❧ Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu Anhum apni zabaan ki bahot hifaazat karte the, kabhi bhi fahash baat apni zabaan se na nikaalte. Hazrat Jaabir bin Sulaim RaziyAllahu anhu farmaate hain ke main jab Madeenah aaya, to dekha ke ek badi shakhsiyat hai, sab log un ki raaye maante hain, woh jo bhi farmaate hain us par amal karte hain. Main ne logon se poochha ke yeh kaon hain? Logon ne bataaya ke yeh Allah ke Rasool hain, Main ne Aap ﷺ ki khidmat mein haazir ho kar arz kiya: *Alaikas salaamu yaa rasoolallaah !* Do martaba aisa kaha. Aap ﷺ ne farmaaya: *Alaikas salaamu* mat kaho, kyun ke *Alaika* mayyit ke liya kaha jaata hai, tum *Assalaamu alaika* kaho,.....
(..Next - 57, Soon In Sha Allah..)
*✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
*Download App Goo.gl/SB46QM*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
Comments
Post a Comment