Aasaan Deen Part 73

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                   *❥ Part - 73 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​

*​(32)➾ Qur'aane Kareem ki tilaawat karna*

❧ Qur'aane Kareem Allah Ta'ala ki taraf se naazil shuda mubaarak kalaam hai, us mein ahkaam wa ma'arif aur akhlaaq-o-aadaab bayaan kiye gaye hain, us mein duniya wa aakhirat ki kaamyaabi ke aamaal bataaye gaye hain aur woh tamaam insaanon ke liye hidaayat ka zariya hai.

❧ Yeh bahot hi ba barkat aur muqaddas kalaam hai, is ki barkatein beshumaar hain, is ke alfaaz bahot hi paakeezah aur mubaarak hain. Jo shakhs is ki tilaawat karta hai, is ke liye aakhirat mein be inteha ajr-o-sawaab hai aur is ki taaleemaat par amal karna duniya wa aakhirat ki sar bulandi aur izzat-o-asmat ka zariya hai. Woh log bahot hi khush naseeb aur sa'adatmand hain jo hamesha is ki tilaawat karte aur is ki taaleemaat par amal karte hain, is ko samajhne aur doosron ko samjhaane ki koshish mein lage rehte hain.

  (..Next - 74, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30

Aasaan Deen Part 61