Aasaan Deen Part 57
✾✵✾
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
*Bismillahirrahmanirrahim*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ Aasaan Deen ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*❥ Part - 57 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
❧ ...Main (Hazrat Jaabir bin Sulaim RaziyAllahu anhu) ne kaha : Kya aap Allah ke Rasool hain? Aap ﷺ ne farmaaya: Main Allah ka Rasool hoon, jo aisi qudrat waala hai ke agar tum ko koi takleef pahonch jaaye, phir tum us se dua karo, to woh tumhaari takleef ko door karde, agar tum ko qahat saali pahonch jaaye aur tum us se dua maango, to woh tumhaare liye (galla) ugaade aur jab tum kisi chatyal maidaan mein ho, jahaan ghaas, paani aur aabaadi na ho aur aise maoqe par tumhaari sawaari gum ho jaaye, phir tum us se dua karo, to tumhaari sawaari tumhaare paas lauta de. Main ne arz kiya: Mujhe kuchh naseehat farmaaiye, Aap ﷺ ne farmaaya: Kisi ko gaali mat dena, Hazrat Jaabir bin Sulaim RaziyAllahu anhu kehte hain ke us ke baad main ne kabhi kisi aazaad ya gulaam shakhs ya oont ya bakri ko gaali nahin di. Phir teen naseehaton ke baad farmaaya:.... Agar koi shakhs tum ko gaali de aur tum par us cheez ka aib lagaaye jo tumhaare andar hai, to tum us par us cheez ka aib na lagaao jo tum us ke andar jaante ho, kyun ke us ka wabaal to usi par hoga.
📓 [Abu Daawood: 4084]
❧ Gaor karein ke is hadees mein kitni sakhti ke saath kisi ko gaali dene se mana kiya gaya hai aur jis sahaabi ko mana farmaaya, unhon ne kabhi bhi kisi insaan hatta ke kisi jaanwar ko bhi gaali nahin di. Allah Ta'ala hamein bhi un ki itteba karne ki taufeeq ata farmaaye. Aameen
(..Next - 58, Soon In Sha Allah..)
*✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
*Download App Goo.gl/SB46QM*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
Comments
Post a Comment