Aasaan Deen Part 66

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                   *❥ Part - 66 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​

❧ Ek doosri Hadees mein Aap ﷺ ne farmaaya: Jo shakhs meri ummat mein se kam ya ziyaada afraad ka haakim aur nigraan bane, phir un ke darmiyaan insaaf na kare, to aise haakim ko Allah Ta'ala aundhe munh Jahannam mein daal dega.

📓 [Tabraani Kabeer: 517]

❧ Hindustaan ke mugal hukmaraanon mein ek baadshah jahaangeer ke naam se mashhoor hai, woh adl-o-insaaf ko itni ahmiyat deta tha ke unhon ne Agra ke qile mein ek zanjeer latka di thi jiska doosre kinaara baahar sadak par the aur us ne yeh elaan kar diya tha ke jis shakhs ke saath adaalat mein insaaf na huwa ho woh is zanjeer ko kheenche. Us ke kheenchne se mahal mein ghantiyaan bajti theen aur baadshah khud us ki shikaayat sunne aajaata tha.

❧ Mugal hukmaraanon mein hi ek baadshah ka naam Aurangzeb Aalamgeer hai, woh bahot akhlaaqmand the, apni riaaya ke saath behtareen sulook karte the, adl-o-insaaf karne waale aur apni riaaya ki raahat wa sukoon ka khayaal rakhne waale the, kisi par zulm un ko gawaara na tha, woh kam umri se hi mulk ke bade bade kaam anjaam dete the....

  (..Next - 67, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book

   *Download App​​​​ Goo.gl/SB46QM*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30

Aasaan Deen Part 61