Aasaan Deen Part 60
✾✵✾
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
*Bismillahirrahmanirrahim*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ Aasaan Deen ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*❥ Part - 60 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*(27)➾ Nek kaamon mein sabqat karna*
❧ Nek log hamesha ziyaada se ziyaada sawaab haasil karne aur khair ke kaamon mein badh chadh kar hissa lene ki koshish karte hain, woh har waqt yeh sochte rehte hain ke kaise Allah ki ibaadat, un ki yaad, taqwa wa parhezgaari, khidmat-e-khalq aur sadqa-o-khairaat mein sab se aage badh jaayein aur Jannat ke oonche oonche darje haasil kar lein, kisi se peechhe reh jaana un ko gawaara nahin hota, yeh ek bahot achchhi sifat hai, har musalmaan ke andar yeh shauq aur jazba hona chaahiye.
❧ Qur’aan-o-Hadees mein nek kaamon mein sabqat karne ki taaleem di gai hai. Allah Ta'ala ka irshaad hai: Tum nek kaamon mein ek doosre se aage badhne ki koshish karo.
📓 [Sura-e-Baqrah: 148]
❧ Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Mashgool hone se pehle nek aamaal mein jaldi kiya karo.
📓 [Ibne Maaja: 1081]
(..Next - 61, Soon In Sha Allah..)
*✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
*Download App Goo.gl/SB46QM*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
Comments
Post a Comment