Aasaan Deen Part 119

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  *❥ Part - 119 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​

❧ Isi tarah yeh bhi yaad rakhna chaahiye ke abru'on aur bhawon ko taraashna ya ukhaadna, ya daanton ko ghis kar baareek karna aur use kaat kaat kar nokeela banaana jaisa ke aaj ke daur mein baaz aurtein karti hain, Islaami sharee'at ki ru se durust nahin hai, is se bhi sab ko bachna chaahiye, kyun ke zeenat ke yeh tareeqe fitrat aur etedaal se hate huwe hain aur Allah Ta'ala ki paida karda khalqat aur shakl-o-soorat mein ek tarah ki tabdeeli hai aur Allah Ta'ala ki khalqat mein tabdeeli karna ek shaitaani kaam hai, Quraane Kareem mein hai ke shaitaan ne kha tha: "Aur main logon ko hukm doonga to woh Allah ki banaai hui khalqat mein tabdeeli karenge.

📓 [Sura-e-Nisa: 119]

❧ Yahaan yeh samajh lena chaahiye ke Islaam aurton ko zeenat ikhtiyaar karne se mana nahin karta hai, balke is ki ijaazat deta hai aur baaz martaba to is ka hukm diya hai, albatta is silsile mein kuchh hidaayatein di hain jis mein sharaafat wa gairat hai, sharm-o-haya hai, etedaal aur meyaana rawi hai aur jis ko apnaakar ek aurat shareef, nek wa Deendaar aur Allah ki nazar mein mehboob ban sakti hai, is liye tamaam aurton ko Islaami taur tareeqe ko apnaana chaahiye aur doosron ke tareeqon se bachne ki poori koshish karni chahiye.

(..Next - 120, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30

Aasaan Deen Part 61