Aasaan Deen Part 01
✾✵✾
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
*Bismillahirrahmanirrahim*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ Aasaan Deen ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*❥ Part - 01 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❧ Aasaan Deen :* Allah Ta'ala ke hukm aur Nabi ﷺ ke tareeqe par zindagi guzaarne ko "Deen" kehte hain.
*❧ Qur'aan :*
اَلۡیَوۡمَ اَکۡمَلۡتُ لَکُمۡ دِیۡنَکُمۡ وَ اَتۡمَمۡتُ عَلَیۡکُمۡ نِعۡمَتِیۡ وَ رَضِیۡتُ لَکُمُ الۡاِسۡلَامَ دِیۡنًا ؕ
*❧ Tarjama :* Aaj main ne tumhaare liye tumhaara Deen mukammal kar diya aur tum par apni nemat poori kar di aur tumhaare liye Islaam ko Deen ke taur par (hamesha ke liye) pasand kar liya.
📓[Sura-e-Maaida: 3]
❧ Islaam mukammal Nizaam-e-Zindagi ka naam hai. Is mein jahaan dil-o-jaan se ek Allah ki wahdaaniyat Rasool ki Risaalat aur Yaum-e-Aakhirat par Imaan laane ka hukm hai, waheen panj waqta namaazon ke ehtemaam, Ramzaan ke rozon ki paabandi, Zakaat ki adaaigi aur Haj karne ka mutaalba hai. Saath hi saath tijaarati len den mein amaanat daari wa sachchaai ikhtiyaar karne ka hukm aur dhoka dene aur jhoot bolne se ijtinaab ki taaleem hai neez apne akhlaaq wa kirdaar ko sanwaarne ki bhi talqeen wa hidaayat di gai hai.
(..Next - 02, Soon In Sha Allah..)
*✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
*Update App* goo.gl/SB46QM
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
Comments
Post a Comment