Aasaan Deen Part 04
✾✵✾
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
*Bismillahirrahmanirrahim*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ Aasaan Deen ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*❥ Part - 04 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
❧ Lihaaza hamein apne Aqaaid, Ibaadaat, Muaamlaat, Muaasharat aur Akhlaaqiyaat wagaira zindagi ke tamaam shobon ko Islaam ke saanche mein dhaal dena chaahiye. Isi mein hamaari kaamyaabi aur najaat hai, kyun ke Allah Ta'ala ne Islaam hi ko hamaare liye bataur-e-deen ke pasand kiya hai. Isi se Allah Ta'ala khush hote hai. Islaam ke alaawa jitne bhi mazaahib hain sab baatil aur mansookh hain. Ab qayaamat tak Islaam hi rahega. Har Insaan ki najaat aur kaamyaabi Islaam hi mein hai. Isi ko Ikhtiyaar karne par paakeeza zindagi ka waada hai aur Jannat mein daakhle aur behisaab rizq ki khushkhabri hai.
❧ Aasaan Deen ke mazmoon se hamaara mansha bachchon ki zehni tarbiyat aur aur Imaaniyaat aur Ibaadaat ke saath saath zindagi ke har shobe mein poore Deen ke mutaabiq apni zindagi guzaarne ka paaband banaana hai. Lihaaza Aasaan Deen ke unwaan ke tahat Deen ke mash'hoor paanch shobon se mutaalliq alag alag anaaween ke tahat mazaameen diye jaarahe hain.
❧ Aasaan Deen ke asbaaq khud padh kar ya talba se padhwa kar achchhi tarah samjhaadein aur un mazaameen mein di gai hidaayaat ke mutaabiq apni zindagi guzaarne ki targeeb dein.
(..Next - 05, Soon In Sha Allah..)
*✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
*Update App* goo.gl/SB46QM
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
Comments
Post a Comment