Aasaan Deen Part 16

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                   *❥ Part - 16 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

❧ Hadees mein ek waaqia bayaan kiya gaya hai ke Ansaar mein se ek (muflis aur gareeb) shakhs Rasoolullah ﷺ ki khidmat mein haazir huwe aur Aap ﷺ se kuchh manga. Aap ﷺ ne farmaaya ke kya tumhaare ghar mein koi cheez nahin hai ? Unhon ne arz kiya: Bas ek kambal hai jis ka kuchh hissa ham odh lete hain aur kuch bichha lete hain aur ek pyaala hai jis se ham paani peete hain. Aap ﷺ ne farmaaya: Yeh donon cheezein mere paas le aao. Unhon ne woh donon cheezein Aap ﷺ ki khidmat mein pesh kar di. Aap ﷺ ne woh kambal aur pyaala haath mein liya aur (neelaam ke tareeqe par) haazireen se farmaaya: Kaon in donon cheezon ko khareedne ke liye tayyaar hai? Ek saahab ne arz kiya: Hazrat ! Main ek dirham mein in ko le sakta hoon. Aap ﷺ ne farmaaya: Kaon ek dirham se ziyaada de ga. (yeh baat Aap ﷺ ne do dafa ya teen dafa farmaai) Ek doosre saahab ne arz kiya ke Hazrat Main do dirham mein le sakta hoon. Aap ﷺ ne donon cheezein un ko de deen aur un se do dirham le liye aur us Ansari shakhs ke hawaale kiya aur farmaaya: In mein se ek dirham se tum khaane ka kuchh saamaan le kar apne ahl-o-ayaal ko de do aur doosre dirham se kulhaadi khareed kar mere paas laao. Unhon ne aisa hi kiya aur kulhaadi le kar Aap ﷺ ki khidmat mein haazir huwe. Aap ﷺ ne apne daste mubaarak se us kulhaadi mein lakdi ka ek mazboot dasta laga diya aur un se farmaaya: Jaao aur jangal ki lakdiyaan laakar becho aur ab main pandra din tak tum ko na dekhoon, chunaanche woh saahab chale gaye aur Aap ﷺ ki hidaayat ke mutaabiq jangal ki lakdiyaan laakar bechte rahe. Phir ek din Aap ﷺ ki khidmat mein haazir huwe, unhon ne apni mehnat aur lakdi ke kaarobar se das dirham kama liye the, jin mein unhon ne kuchh ka kapda khareeda aur kuchh ka galla wagaira. Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Apni mehnat se kamaana tumhaare liye is se behtar hai ke qayaamat ke din tumhaare chehre par logon ke maangne ka daag ho.

📓 [Abu Daawood: 1641]

  (..Next - 17, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book

     *Update App​​​​* goo.gl/SB46QM
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30

Aasaan Deen Part 61