Aasaan Deen Part 02

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                   *❥  Part - 02 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

❧ ​Isi liye Deen ke mash'hoor paanch shobe qaraar diye gaye hain:

*1. Imaaniyaat :* Is se muraad woh cheezein hain jin par ek musalmaan ko dil se pakka yaqeen rakhna zaroori hai, jaise Allah Ta'ala ki wahdaaniyat aur Rasool ﷺ ki Risaalat ka iqraar karna.

*2. Ibaadaat :* Is se muraad woh nek aamaal hain jo Allah ki raza aur khushnoodi haasil karne ke liye kiye jaate hain: Jaise Namaaz, Roza, Haj, Qur'aan ki tilaawat, Deen ka ilm haasil karna wagaira.

*3. Muaamlaat :* Is se muraad khareed wa farokht, tijaarat wa business, aapsi len den aur wiraasat wagaira ko Ahkaam-e-Shariat ke mutaabiq anjaam dena hai. Jaise naaptol mein kami na karna, amaanat mein khayaanat na karna, maal-e-wiraasat tamaam haq daaron mein taqseem karna wagaira.

*4. Muaasharat :* Is se muraad yeh hai ke Jin logon ke darmiyaan ham rehte hain un ke saath kaisa sulook aur kaisa bartaao karna chaahiye aur hamaare oopar un ke kya huqooq wa faraaiz hain. Jaise maan baap ki farman bardaari karna, padosiyon ke saath achchha sulook karna, kisi ko takleef na ponhchaana wagaira.

*5. Akhlaaqiyaat :* Is se muraad achchhe akhlaaq aur achchhi aadatein hain, jin ka har ek insaan ke andar hona zaroori hai. Jaise: Sachchaai, amaanatdaari, waada poora karna, bugz wa hasad aur geebat se bachna wagaira.

  (..Next - 03, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book

     *Update App​​​​* goo.gl/SB46QM
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30

Aasaan Deen Part 61