Aasaan Deen Part 07

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                   *❥ Part - 07 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

❧ Hazrat Aadam Alaihissalam hi se Allah Ta'ala ne apni qudrat ke zarye un ki biwi Hazrat Hawwa Alaihassalam ko paida kiya, Allah Ta'ala ne Hazrat Aadam Alaihissalam aur Hazrat Hawwa Alaihassalam ko hukm diya ke Jannat mein jo chaaho khaao piyo, magar ek darakht ke baare mein farmaaya ke us ke qareeb bhi mat jaana.

❧ Donon Jannat mein khoob maze se rehne lage, Iblees to pehle hi se un ka dushman tha, us par un ka Jannat mein is tarah rehna bahot naagawaar guzra, us ne yeh thhaan li ke donon ko Jannat se nikaal kar hi dam loonga. Us ne Hazrat Aadam Alaihissalam se kaha: Jaante ho tumhein us darakht ke qareeb jaane se kyun mana kiya gaya hai? Is liye ke agar darakht ka phal khaaloge to hamesha Jannat hi mein rahoge aur agar nahin khaaya to Jannat se nikaal diye jaaoge, main tumhaara sachcha dost hoon, tum meri baat maan lo.

❧  Hazrat Aadam Alaihissalam us ke behkaawe mein aa gaye aur us darakht ka phal kha liya. Us par Allah Ta'ala ka itaab naazil huwa aur Hazrat Aadam Alaihissalam wa Hazrat Hawwa Alaihassalam ko duniya mein bhej diya, Hazrat Aadam Alaihissalam ne Allah Ta'ala se khoob maafi maangi to Allah Ta'ala ne unhein maaf kar diya, donon is zameen par rehne lage, un ki aulaadein hueen aur aahista aahista poori duniya mein phailti chali gaeen.

❧ Hazrat Aadam Alaihissalam sab se pehle insaan hain aur aaj tak jitne insaan paida huwe hain ya qayaamat tak paida honge woh sab un hi ki aulaad hain, isi liye un ki taraf nisbat karte huwe unhein "Aadmi" bhi kaha jata hai.

  (..Next - 08, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book

     *Update App​​​​* goo.gl/SB46QM
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30

Aasaan Deen Part 61