Aasaan Deen Part 20

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                   *❥ Part - 20 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

❧ Ek hadees mein Rasoolullah ﷺ ne farmaaya ke jo banda ehtemaam se namaaz ada karega, to woh (Namaaz) qayaamat ke din us ke waaste noor hogi, (Jis se qayaamat ki andheriyon mein us ko roshni milegi aur us ke imaan waala hone aur Allah Ta'ala ka farmaanbardaar banda hone ki nishaani) aur daleel hogi aur us ke liye najaat ka zariya banegi aur jo shakhs namaaz ki adaaigi ka ehtemaam nahin karega, to woh us ke waaste na noor banegi aur na daleel hogi aur na hi najaat ka zariya hogi aur woh badbakht qayaamat mein Qaaroon, Firaon, Haamaan aur Umayya bin Khalf ke saath hoga.

📓 [Musnad-e-Ahmad: 6576]

❧ Is liye ham logon ko kabhi bhi namaaz nahin chhodni chaahiye. Is ko waqt par ada karne aur jamaat ke saath padhne ka poora ehtemaam karna chaahiye. Agar kabhi kisi sakht majboori ki wajah se namaaz qaza ho jaaye, to jald se jald padh lene ki koshish karni chaahiye. Agar ham nahin padhenge, to Allah Ta'ala ham se naaraaz ho jaayeinge aur ham ko Jahannam mein daal deinge.

  (..Next - 21, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book

     *Update App​​​​* goo.gl/SB46QM
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30

Aasaan Deen Part 61