Aasaan Deen Part 05
✾✵✾
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
*Bismillahirrahmanirrahim*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ Aasaan Deen ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*❥ Part - 05 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*(1)➾ Sab ko Allah ne Paida kiya*
❧ Allah Ta'ala khaaliq hai, usi ne tamaam cheezon ko paida kiya, zameen ko banaaya, Aasmaanon ko bagair sutoon ke qaaim rakha, chaand wa sooraj aur sitaaron ko banaaya, wahi aasmaan se baarish barsaata hai, wahi zameen se darakht aur paude ugaata hai aur hamaare liye bahot saare phal aur phool paida karta hai,
❧ Allah Ta'ala farmaata hai: Wahi hai jis ne aasmaan se paani barsaaya jis se tumhein peene ki cheezein haasil hoti hain aur usi se darakht ugte hain jin mein tum maweshiyon ko charaate ho. Isi se Allah Ta'ala tumhaare liye khetiyaan, zaitoon, khajoor ke darakht, angoor aur har har qism ke phal ugaata hai. Haqeeqat yeh hai ke in sab baaton mein un logon ke liye badi nishaani hai jo sochte samajhte hon.
📓[Sura-e-Nahal: 10,11]
❧ Allah Ta'ala hi ne ham sab ko paida kiya hai, hamaare maan baap ko paida kiya hai, tamaam insaanon ke wahi khaaliq hain.
❧ Qur'aan mein Allah Ta'ala farmaata hai: Usi ne insaan ko thheekre ki tarah khankhanaati hui mitti se paida kiya.
📓[Sura-e-Rahmaan: 14]
(..Next - 06, Soon In Sha Allah..)
*✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
*Update App* goo.gl/SB46QM
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
Comments
Post a Comment