Aasaan Deen Part 06
✾✵✾
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
*Bismillahirrahmanirrahim*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ Aasaan Deen ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*❥ Part - 06 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
❧ Tum yeh sochte honge ke Allah Ta'ala ne insaan ko kaise banaaya aur kab se insaanon ka silsila shuru huwa! To maaloom hona chaahiye ke sab se pehle insaan Hazrat Aadam Alaihissalam hain, jab Allah Ta'ala ne un ko paida karne ka iraada kiya, to farishton se kaha: Main zameen mein ek aisi makhlooq paida karne waala hoon jinhein main apna khaleefa aur qaaim maqaam banaaunga. Farishton ne kaha: Kya aap aisi makhlooq banaaeinge jo zameen par fitne phailaaegi aur fasaad karegi, haalaanke ham sab aap ki khoob ibaadat karte hain aur tasbeeh bayaan karte hain. Allah Ta'ala ne farmaaya: Jo main jaanta hoon woh tum nahin jaante, phir Allah Ta'ala ne paani aur mitti se ek paakeeza soorat banaai aur us mein rooh phoonki aur us ka naam "Aadam" rakha.
❧ Unhein tamaam cheezon ke naam sikhaaye, un ke faaide bataaye, aur farishton ko hukm diya ke Aadam ko sajda karo. Tamaam farishton ne sajda kiya, magar Iblees ne sajda karne se inkaar kar diya aur ghamand mein aakar Allah ki naafarmaani ki, us par Allah Ta'ala ka gazab naazil huwa aur us ko Jannat se nikaal diya, Iblees usi waqt se Hazrat Aadam Alaihissalam aur un ki aulaad ka dushman ban gaya.
(..Next - 07, Soon In Sha Allah..)
*✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
*Update App* goo.gl/SB46QM
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
Comments
Post a Comment