Aasaan Deen Part 13

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                   *❥ Part - 13 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

*​​​(4)➾ Waalidain ka Adab-o-Ehteraam*​

❧ Islaam ne maan baap ke saath achchha sulook karne aur un ka adab-o-ehteraam karne ki taaleem di hai, kyun ke maan baap hamaari parwarish karte hain, hamaari har zaroorat ka khayaal rakhte hain, hamaari khaatir apna aaraam qurbaan kar dete hain, un ka ham par bada ehsaan hai, isi liye Allah Ta'ala ne apni ibaadat ke baad maan baap ke saath achchha bartaao aur un ka adab-o-ehteraam karne ka hukm diya hai.

❧ Qur'aan-e-Kareem mein hai: "Tumhaare rab ne saaf saaf hukm diya hai ke tum us ke alaawa kisi ki ibaadat na karo aur apne maan baap ke saath achchha bartao karo. Agar woh tumhaare paas hon aur un mein se ek ya donon budhaape ko pahonch jaayein, to unhein "uff" tak na kaho, na unhein jhidko, un se khoob adab se baat karo".

📓 [Sura-e-Asra: 23]

❧ Maan baap ki khidmat karne aur un ko raazi rakhne mein hamaare liye bahot faaide hain, duniya mein aur aakhirat mein bhi. Ek martaba ek sahaabi RaziyAllahu anhuma ne Huzoor ﷺ se poochha: Ya Rasoolallah ! Aulaad par maan baap ka kitna haq hai? Aap ﷺ ne farmaaya: Woh donon tumhaari Jannat aur Dozakh hain.

📓 [Ibne Maaja: 3662]

  (..Next - 14, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book

     *Update App​​​​* goo.gl/SB46QM
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30

Aasaan Deen Part 61