Aasaan Deen Part 26

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                   *❥ Part - 26 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

*​(11)➾ Allah Ta'ala ki naafarmaani ka wabaal*

❧ Allah Ta'ala ne tamaam insaanon ko jin baaton par chalne ka hukm diya hai, usi ke mutaabiq chalna zaroori hai, us ke khilaaf zindagi guzaarna aur Allah Ta'ala ke hukmon ko na maanna bade nuqsaan ka zariya hai, alse logon se Allah Ta'ala sakht naaraaz ho jaate hain, insaanon par jo tarah tarah ki museebatein aur pareshaaniyaan aati hain woh Allah Ta'ala ki naafarmaani aur gunaah hi ka nateeja hota hai.

❧ Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Bande ko jo halki ya sakht museebat pesh aati hai, woh us ke gunaah ka nateeja hoti hai, aur bahot saare gunaahon ko to Allah Ta'ala maaf farma dete hain.

📓 [Tirmizi: 3252]

❧ Baarish jo ke Allah ki badi nemat hai, yeh bhi hamaare gunaahon ki wajah se ruk jaati hai, jab gunaah aur Allah ki naafarmaaniyaan hone lagti hain, to Allah Ta'ala baarish ko rok lete hain.

❧ Huzoor ﷺ ne farmaaya: Jab haakim log zulm karne lagte hain, to baarish rok li jaati hai.

📓 [Hilyatul Auliya: 5/200]

  (..Next - 27, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book

     *Update App​​​​* goo.gl/SB46QM
  www.aasaandeen.blogspot.com
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30

Aasaan Deen Part 61