Aasaan Deen Part 43
✾✵✾
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
*Bismillahirrahmanirrahim*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ Aasaan Deen ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*❥ Part - 43 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
❧ Rasoolullah ﷺ ne beche jaane waale saamaan ka aib chhupaane se mana bhi farmaaya hai, chunaanche Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu anhu se riwaayat hai ke Rasoolullah ﷺ galle ke ek dher ke paas se guzre (jo ek dukaandaar ka tha) Aap ne apna haath us dher ke andar daakhil kar diya, to aap ki ungliyon ne geelapan mehsoos kiya, Aap ne us galla farosh se farmaaya ke (tumhaare dher ke andar) yeh tari aur geel kaisi hai? Us ne arz kiya: Ya Rasoolallah ! Galle par baarish ki boondein pad gai theen (to main ne oopar ka bheeg jaane waala galla neeche kar diya) Aap ne farmaaya ke is bheege huwe galle ko tum ne dher ke oopar kyun nahin rehne diya taake khareedne waale log is ko dekh sakte, (sun lo) jo aadmi dhoke baazi kare woh ham mein se nahin.
📓 [Sahih Muslim: 295]
❧ Har musalmaan taajir ko apni tijaarat mein shariat ka paas wa lihaaz rakhna chaahiye, is se hamaari nekiyon mein izaafa hoga aur Allah Ta'ala ki naaraazgi ham se hategi aur hamaari madad wa nusrat ke faisle aasmaanon se utreinge. Duniya bhi banegi aur aakhirat bhi chamkegi.
(..Next - 44, Soon In Sha Allah..)
*✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
*Download App* Goo.gl/SB46QM
*www.aasaandeen.blogspot.com*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
Comments
Post a Comment