Aasaan Deen Part 39
✾✵✾
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
*Bismillahirrahmanirrahim*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ Aasaan Deen ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*❥ Part - 39 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
❧ Hindustaan ka ek baadshaah guzra hai, us ka naam Akbar tha. Us ke dimaag mein yeh galat khayaal saraayat kar gaya tha ke (na‘oozubillah) Huzoor ﷺ ke Deen ki kul muddat ek hazaar saal thi jo poori ho gai, isi liye woh dil khol kar Islaami ahkaam ko baatil karne mein mashgool ho gaya tha aur is ke liye us ne ek khud saakhta mazhab "Deen-e-ilaahi" ki bunyaad rakhi thi, jis mein dher saari kharaabiyaan theen, us deen mein daakhil hone waalon se jo kalima padhwaaya jaata tha, us mein *"Laa ilaaha illallaahu"* ke saath *"Akbaru khaleefatullaah"* bhi shaamil kiya jaata tha, shaahi mahal mein naaqoos bajaaye jaate aur aag raoshan ki jaati thi, magar Namaaz, Rozah, Haj, aur Zakaat se laaparwaahi barti jaati thi, balke deewaan khaane mein kisi ki majaal na thi elaaniya namaaz padhe, Maqaam-e-Nubuwwat ki tauheen ki gai aur Meraaj wagaira ka mazaaq udaaya gaya, baadshaah ko Sajda-e-Ta‘azeem kiya jaata, Qaanoon-e-Nikaah mein tabdeeli ki gai, tadfeen ke tareeqe badal daale, mulaaqaat ke waqt salaam karne ki jo Islaami taaleem thi, us ko khatm kar ke naya tareeqa raaij kiya, baaz cheezein jo halaal theen, un ko haraam keh diya gaya aur baaz cheezein jo haraam theen, un ko halaal keh diya, suwwar ko paak samjha jaane laga, ulama, mujtahideen aur Islaami sha‘aair ka mazaaq udaaya jaane laga, hatta ke sooraj wagaira ki parastish bhi ki jaane lagi.
❧ Akbar ki is bad deeni aur Islaam se doori mein us waqt ke darbaari ulama ki galat sohbat aur khushaamad ko bada dakhal tha, un mein Mulla Mubaarak ke do ladke Abul Fazl aur Faizi sar-e-fehrist the. Mash‘hoor buzurg Shaikh Ahmad Sarhindi Mujaddid Alfe Saania Rahmatullah Alaih usi zamaane ke the, unhon ne badi hikmat ke saath is naye mazhab "Deen-e-ilaahi" ka muqaabla kiya aur is baare mein bade kaarnaame anjaam diye.
(..Next - 40, Soon In Sha Allah..)
*✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
*Download App* Goo.gl/SB46QM
*www.aasaandeen.blogspot.com*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
Comments
Post a Comment