Aasaan Deen Part 27
✾✵✾
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
*Bismillahirrahmanirrahim*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ Aasaan Deen ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*❥ Part - 27 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
❧ Pichhli qaumon par Allah Ta'ala ki naafarmaani ki wajah se azaab bhi aachuka hai, maslan Hazrat Nooh Alaihissalam ki qaum ne jab Allah Ta'ala ki naafarmaani ki, us ke saath shirk kiya, gunaahon mein mubtila ho gai, to Hazrat Nooh Alaihissalam ne un ko samjhaaya aur sirf ek Allah ki ibaadat karne aur gunaahon ko chhodne ka hukm diya aur Allah Ta'ala ki marzi ke mutaabiq zindagi guzaarne ki hidaayat di, magar chand logon ke siwa kisi ne bhi un ki baaton ko nahin maana aur Allah Ta'ala ki naafarmaani mein had se aage badhte gaye, to Allah Ta'ala ne us qaum par apna azaab naazil kiya aur ek toofaani sailaab ke zariye tamaam kaafiron ko halaak kar diya.
❧ Isi tarah Hazrat Loot Alaihissalam ki qaum ne jab Allah Ta'ala ki naafarmaani ki, tarah tarah ki buraaiyon aur gunaah ke kaamon mein mubtila ho gai, to Hazrat Loot Alaihissalam ne un ko Allah ki naafarmaani se bachne aur gunaahon se baaz rehne ki hidaayat di, magar unhon ne nahin maana aur naafarmaani aur sarkashi mein had se aage badh gaye, to Allah Ta'ala ne Hazrat Jibraeel Alaihissalam ko bheja, unhon ne poori basti ko uthhaaya aur aasmaan ke qareeb le gaye aur waheen se poori basti ko zameen par patakh diya aur oopar se pattharon ki baarish barsaai, is tarah is holnaak azaab ke zariye poori qaum halaak ho gai.
❧ Aaj kal zameen ki khudaai ke dauraan jo khandaraat nikalte hain aur puraane zamaane ke makaanaat daryaaft hote hain, bahot mumkin hai ke Allah Ta’ala ne apne azaab ke zariye un ko zameen mein dhansa diya ho aur woh khandaraat mein tabdeel ho gaye hon.
(..Next - 28, Soon In Sha Allah..)
*✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
*Update App* goo.gl/SB46QM
www.aasaandeen.blogspot.com
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
Comments
Post a Comment