Aasaan Deen Part 45

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                   *❥ Part - 45 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

❧ Hijri taareekh ka daaro madaar chaand par hai, chaand bhi waqt maaloom karne ka ek zariya hai, Qur’aan-e-Kareem mein Allah Ta'ala ka irshaad hai: Log aap se naye maheenon ke chaand ke baare mein poochhte hain, Aap unhein bata deejiye ke yeh logon ke (mukhtalif muaamlaat ke) aur Haj ke auqaat muta’ayyan karne ke liye hain.

📓 [Sura-e-Baqarah: 189]

❧ Hijri taareekh bahot ahem hai, us par bahot saare ahkaam ki bunyaad hai, maslan Islaam ka ek ahem rukn Haj hai jo Zil Hijjah ki makhsoos taareekhon mein hi ada kiya jaata hai, Eidul Fitr aur Eidul Azha chaand ki taareekh ke etebaar se manaai jaati hai, isi tarah musalmaanon par jo roze farz hai woh Ramazaan mein rakhe jaate hain.

❧ Huzoor ﷺ ka irshaad hai: Chaand dekh kar roze rakho aur chaand dekh kar rozah rakhna chhod do, agar chaand nazar na aaye to Sha'abaan ke tees din mukammal karlo.

📓 [Sahih Bukhaari: 1909]

❧ Is ke alaawa bhi bahot saare ahkaam hijri taareekh ke etebaar se anjaam paate hain, is liye hamein hijri taareekh ki hifaazat karni chaahiye, aur is ko yaad rakhna chaahiye aur apne rozmarrah ke kaamon mein is taareekh ka istemaal karna chhahiye.

  (..Next - 46, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book

   *Download App​​​​* Goo.gl/SB46QM
  *www.aasaandeen.blogspot.com*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30

Aasaan Deen Part 61