Aasaan Deen Part 32
✾✵✾
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
*Bismillahirrahmanirrahim*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ Aasaan Deen ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*❥ Part - 32 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
❧ Halaal rozi ki barkat se dil mein noor paida hota hai aur nek aamaal ki taufeeq milti hai, aur duaaein qubool hoti hain. Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Be shak Allah Ta'ala paak hai aur paak hi ko qubool farmaate hain. (phir farmaaya ke) yaqeenan (halaal khaane ke baare mein) Allah Ta'ala ne paigambaron ko jo hukm farmaaya ke Rasoolo ! paak cheezein khaao aur nek kaam karo, wahi hukm momineen ko bhi diya ke aye Imaan waalo ! Jo paak cheezein ham ne tum ko di hain un mein se khaao. Us ke baad Huzoor ﷺ ne ek aise shakhs ka zikr kiya jo lamba safar kar raha ho, us ke baal bikhre huwe hon, jism par gard-o-gubaar ata huwa ho, aur woh aasmaan ki taraf haath uthhaaye huwe ya rab ya rab keh kar dua kar raha ho. Yeh shakhs dua to kar raha hai aur haal yeh hai ke us ka khaana haraam hai, peena haraam hai, pahenna haraam hai aur us ko haraam giza di gai hai, to in haalaat mein us ki dua kaise qubool hogi!
📓 [Sahih Muslim: 2393]
❧ Matlab yeh hai ke musaafir aur pareshaan aadmi ki dua qubool hoti hai. Magar haraam khaane peene ki wajah se us ki dua rad kar di jaati hai, aaj bahot se log dua qubool na hone ki shikaayat karte hain, un ko chaahiye ke pehle apna haal dekhein ke kaheen haraam aamdani ka istemaal to nahin ho raha hai, agar kisi bhi tarah se haraam aamdani zindagi mein daakhil ho gai to us ki dua ki qubooliyat ruki rahegi.
(..Next - 33, Soon In Sha Allah..)
*✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
*Update App* goo.gl/SB46QM
www.aasaandeen.blogspot.com
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
Comments
Post a Comment