Aasaan Deen Part 37
✾✵✾
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
*Bismillahirrahmanirrahim*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ Aasaan Deen ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*❥ Part - 37 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*(16)➾ Deen-e-Islaam*
❧ Islaam Deen-e-Fitrat hai, yeh Allah ka bheja huwa Deen hai, yeh har waqt hamaari rehnumaai karta hai aur hamein seedhi sachchi raah dikhaata hai. Islaam hamein sikhaata hai ke Allah ek hai, us ka koi shareek wa saajhi nahin, us ke maan baap nahin hai, us ki koi aulaad nahin hai, woh hamesha se hai aur hamesha rahega, woh beniyaaz hai. Aur Hazrat Muhammad Mustafa ﷺ Allah ke aakhri Nabi aur Rasool hain, Aap ﷺ ke baad ab koi nabi nahin aayega, Aap ki nubuwwat rehti duniya tak ke liye hai, agar Aap ke baad koi nubuwwat ka daawa karega to woh jhoota hoga. Aur Qur'aan Majeed Allah Ta'ala ki aakhri kitaab hai jo logon ki hidaayat ke liye utaari gai hai.
❧ Ab qayaamat tak insaanon ka Deen "Islaam" hai. Isi ko apnaane mein Deen wa duniya ki bhalaai hai, yahi Allah ka pasandeeda Deen hai, Islaam ke alaawa koi aur Deen wa mazhab Allah ke yahaan maqbool nahin hai. Khud Allah Ta'ala ne irshaad farmaaya: Beshak (motabar) Deen to Allah ke nazdeek Islaam hi hai.
📓 [Sura-e-Aale Imraan: 29]
(..Next - 38, Soon In Sha Allah..)
*✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
*Update App* goo.gl/SB46QM
www.aasaandeen.blogspot.com
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
Comments
Post a Comment