Aasaan Deen Part 38

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                   *❥ Part - 38 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

❧ Allah Ta'ala ne irshaad farmaaya: Jo koi shakhs Islaam ke siwa koi aur Deen ikhtiyaar karna chaahega, to us se woh Deen qubool nahin kiya jaayega aur aakhirat mein un logon mein shaamil hoga jo sakht nuqsaan uthhaane waale hain.

📓 [Sura-e-Aale Imraan: 85]

❧ Allah Ta'ala ne Deen-e-Islaam ko Aap ﷺ par mukammal kar diya hai, Allah Ta'ala ne apni kitaab mein Deen ke mukammal ho jaane ki khush khabri di hai. Ab is mein kisi kami ya ziyaadati ki gunjaaish nahin hai. Allah Ta'ala ka irshaad hai: Aaj main ne tumhaare liye tumhaara Deen mukammal kar diya, tum par apni nemat mukammal kar di aur tumhaare liye Islaam ko Deen ke taur par (hamesha ke liye) pasand kar liya.

📓 [Sura-e-Maaida: 3]

❧ Woh hamein zindagi guzaarne ka achchha tareeqa sikhaata hai, har mod par hamaari behtar rehnumaai karta hai, Islaam mein tamaam khoobiyaan aur bhalaaiyaan maujood hain, har achchhi baat ki taaleem deta hai aur har buri baat se mana karta hai. Huzoor ﷺ ne to yahaan tak farmaaya ke main is liye bheja gaya hoon ke akhlaaqi khoobiyon ko kamaal tak pahonchaadoon.

📓 [Musnade Ahmad: 8952]

  (..Next - 39, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book

   *Download App​​​​* Goo.gl/SB46QM
  *www.aasaandeen.blogspot.com*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30

Aasaan Deen Part 61