Aasaan Deen Part 47

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                   *❥ Part - 47 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​

❧ Hazrat Jaabir RaziyAllahu anhu kehte hain ke ek din Rasoolullah ﷺ hamaare paas tashreef laaye, to Aap ﷺ ne wahaan ek shakhs ko dekha jis ke baal paraaganda bikhre huwe the, Aap ﷺ ne farmaaya: Kya is shakhs ko woh cheez (kanghi wagaira) mayassar nahin, jis se woh apne baalon ko durust kar le, isi tarah Aap ﷺ ne aise shakhs ko dekha jis ke badan par maile kuchaile kapde the, Aap ﷺ ne farmaaya: Kya is aadmi ko woh cheez (saaban pani wagaira) mayassar nahin jis se woh apne kapdon ko dho daale.

📓 [Abu Daawood: 4062]

❧ Is liye safaai aur suthraai aur tahaarat wa nazaafat ka poora khayaal rakhein, apna kapda, apna bistar aur apne badan ki safaai par dhyaan dein, apne kapdon ko mitti aur siyaahi ke dhabbon se bachaaein, haath aur munh saaf karne ke liye apne paas rumaal rakh lein, aasteen ya daaman se munh saaf na karein, har hafte naakhun taraash lein aur gusl ka ehtemaam karein, rozaana subah sawere nahaane se achchhi tarah nazaafat bhi haasil ho jaati hai aur sehat wa tandurusti bhi barqaraar rehti hai, miswaak ka bhi ehtemaam karein, wuzu karte waqt, khaana khaane ke baad, raat ko sone se pehle aur subah so kar uthhne ke baad miswaak kar liya karein, saath hi apne gharon ki safaai ka khayaal rakhein, ghar ke atraaf ko saaf suthra rakhein, gali koochon aur sadkon par kachra ya koi aur gandagi bilkul na daalein, is se aane jaane waalon ko takleef hoti hai aur beemaariyaan bhi phailti hain.

  (..Next - 48, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book

   *Download App​​​​* Goo.gl/SB46QM
  *www.aasaandeen.blogspot.com*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30

Aasaan Deen Part 61