Aasaan Deen Part 31

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                   *❥ Part - 31 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

*​​​(13)➾ Halaal kamaai ke fawaaid wa barkaat*

❧ Insaan zindagi guzaarne ke liye bahot si cheezon ka mohtaaj hai; sar chhupaane ke liye ghar ka zarooratmand hai to tan dhaankne ke liye kapde ka mohtaaj, zinda rehne ke liye roti bhi zaroori hai, goya roti, kapda, makaan insaan ki bunyaadi zaroorat hai.

❧ Jo log Allah ko nahin pehchaante aur us par Imaan nahin rakhte woh apne maqsad ko haasil karne ke liye halaal wa haraam ka khayaal nahin rakhte, is liye woh sood bhi khaate hain aur sharaab bhi peete hain. Doosron ka maal hadap bhi karte hain aur tijaarat mein dhoka fareb se kaam lete hain. Lekin jo log Imaan waale hain un ke liye hargiz jaaiz nahin ke woh apni zarooriyaat ko poora karne mein aazaadaana rawayya ikhtiyaar karein un ke liye halaal wa paakeeza cheezon ko ikhtiyaar karna aur haraam wa naajaaiz kaamon se bachna intehaai zaroori hai. Khaas taur par apni kamaai aur rozi mein is baat ka khayaal rakhna bahot ahem hai. Har waqt yeh khayaal rakhna chaahiye ke us ke pet mein halaal hi luqma jaaye, haraam luqma na ja sake.

❧ Huzoor ﷺ ne farmaaya: "Woh gosht Jannat mein na ja sakega jo haraam luqme se pala badha ho". Isi liye hadees paak mein halaal rozi ki talaash wa justaju ko farz bataaya gaya hai. Is halaal rozi ke beinteha barkaat wa fawaaid hain.

  (..Next - 32, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book

     *Update App​​​​* goo.gl/SB46QM
  www.aasaandeen.blogspot.com
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30

Aasaan Deen Part 61