Aasaan Deen Part 46

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                   *❥ Part - 46 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​

*(20)➾ Safaai Suthraai ka ehtemaam karna*

❧ Har Insaan fitri taur par safaai suthraai ko pasand karta hai aur hamesha saaf suthra rehne ki koshish karta hai, Deen-e-Islaam ne deegar ahkaam ke saath safaai ko bhi khaas ahmiyat di hai, Huzoor ﷺ ne irshaad farmaaya: Paaki aadha Imaan hai.

📓[Sahih Muslim: 556]

❧ Safaai suthraai Allah ko bahot pasand hai aur Allah Ta'ala saaf suthra rehne waalon ko pasand karte hain aur log bhi un ko achchhi nigaah se dekhte hain. Huzoor ﷺ ne apne gharon, apne kapdon aur apne badan ko saaf suthra rakhne ki hidaayat di hai.

❧ Aap ﷺ ka irshaad hai: Allah Ta'ala paak hain, paaki ko pasand karte hain, woh saaf suthre hain aur safaai suthraai ko pasand karte hain, woh karam karne waale hain aur karam ko pasand karte hain, woh nihaayat hi sakhi hain aur sakhaawat ko pasand karte hain, tum apne sehnon ko saaf suthra rakho aur yahoodiyon ki mushaabahat ikhtiyaar na karo.

📓 [Tirmizi: 2799]

  (..Next - 47, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book

   *Download App​​​​* Goo.gl/SB46QM
  *www.aasaandeen.blogspot.com*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30

Aasaan Deen Part 61