Aasaan Deen Part 50

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                   *❥ Part - 50 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​

*​(22)➾ Masnoon duaaon ka ehtemaam karna*

❧ Rasoolullah ﷺ ne mukhtalif auqaat mein jo duaaein maangi aur mukhtalif mawaaqe par ummat ko taaleem di hai, woh nihaayat hi baabarkat hain. Maslan neend se bedaar ho kar padhne ki dua, baitulkhala mein jaane se pehle ki dua, wahaan se baahar nikalne ke baad ki dua, wuzu karte waqt, Masjid mein daakhil hote waqt, Masjid se nikalte waqt, ghar mein daakhil hote waqt, khaana khaane se pehle aur khaana khaane ke baad, azaan ke baad, kapde pahente waqt, aaina dekhte waqt, bistar par pahonch kar sone se pehle wagaira.

❧ Aur is tarah khaas khaas maoqon par jo duaaein sikhaai gai hain ya is ke alaawa jo doosri aam duaaein hadeeson mein manqool hain, jo kisi waqt aur haalaat ke saath khaas nahin hain, woh sab duaaein bahot hi ahem aur jaame hain. Poori ummat ke haq main Deen wa duniya ki khair wa bhalaai aur hamaari tamaam zarooraton ke liye intehaai mufeed hain. Yeh duaaein itni achchhi aur jaame hain ke agar ham saari umr sochte rahein, tab bhi aisi duaaein khud se nahin maang sakte, yahi to wajah thi ke Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu anhum Arabi zabaan wa lugat mein maahir hone ke baawajood Aap ﷺ ke paas aate the aur duaaein seekhte the.

  (..Next - 51, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book

   *Download App​​​​* Goo.gl/SB46QM
  *www.aasaandeen.blogspot.com*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30

Aasaan Deen Part 61