Aasaan Deen Part 103

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  *❥ Part - 103 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​

*​​​(49)➾ Afw wa darguzar*

❧ Akhlaaqi taaleemaat mein "Afw wa darguzar" ki badi ahmiyat hai. Is ka matlab yeh hai ke agar kisi ki taraf se koi takleef pahonch jaaye, to us ko bardaasht karliya jaaye aur us ke badla lene aur saza dene ki poori quwwat rakhne ke baawajood galti karne waale ko nazar andaaz kar ke maaf kar diya jaaye. Quraan-e-Kareem aur Ahaadees-e-Shareefa mein afw wa darguzar karne ki bahot targeeb di gai hai.

❧ Allah Ta'ala ka irshaad hai: "Aur Imaan waalon ko chaahiye ke (Jis se un ke haq mein koi ziyaadati aur qusoor ho gaya ho, us ko) woh maaf kar diya karein aur nazar andaaz kar dein. Kya tum yeh nahin chaahte ke Allah tumhein maaf kar de aur Allah bakhshne waala aur bahot maherbaan hai."

📓 [Sura-e-Noor: 22]

❧ Is ka matlab yeh huwa ke jo banda yeh chaahta hai aur us ke tamanna yeh hai ke Allah Ta'ala us ke saath maherbaani ka bartaao kare, us ki magfirat farmaaye, to us ko chaahiye ke apne qusoor waaron ke saath rahamdili ka muaamla kare aur un ki galtiyon ko maaf kar diya kare, to Allah Ta'ala bhi us ke saath bakhshish wa rahmat aur lutf wa karam ka muaamla karega.

(..Next - 104, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book

❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30

Aasaan Deen Part 61