Aasaan Deen Part 89
✾✵✾
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
*Bismillahirrahmanirrahim*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ Aasaan Deen ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*❥ Part - 89 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*(40)➾ Izaar latkaane waalon ki saza*
❧ Daure jaahiliyat mein logon ke darmiyaan fashion ke taur par yeh tareeqa raaij hogaya tha ke kapdon ke istemaal mein woh bahot israaf se kaam lete the, tehband is tarah baandhte the ke chalne mein neeche ka kinaara zameen par ghisatta, woh log is ko apni badaai aur fakhr ki cheez samjhte the. Huzoor ﷺ ne is se mana farmaaya hai aur jo shakhs is tarah tehband ya paaejaama wagaira takhne se neeche latka kar chalta hai, us ke liye sakht saza bayaan farmaai hai.
❧ Ek martaba Aap ﷺ ne farmaaya ke guzishta zamaane mein ek shakhs takabbur ki wajah se apne tehband ko latkaaye huwe zameen par ghaseet kar chala karta tha, to us ko zameen mein dhansa diya gaya, woh Qayaamat tak zameen mein dhansta chala jaayega.
📓 [Sahih Bukhaari: 3485]
(..Next - 90, Soon In Sha Allah..)
*✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
Islamicgrp.weebly.com
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
Comments
Post a Comment