Aasaan Deen Part 109
✾✵✾
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
*Bismillahirrahmanirrahim*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ Aasaan Deen ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*❥ Part - 109 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
❧ Neez zewar kisi jaandaar ya saleb ki shakl mein bana huwa na ho, jo zewar is shakl mein bana huwa ho us ko istemaal nahin karna chaahiye. Is ke saath yeh bhi yaad rakhna chaahiye ke zeb-o-zeenat ke liye jin cheezon ka istemaal karein, un ko shohar ke siwa khaas taur par zaahir na karein, yeh cheezein dikhaawe aur numaaish ke liye na hon, balke hattal imkaan un ko chhupaane ki koshish karein.
❧ Allah Ta'ala ka irshaad hai: Aap Imaan waaliyon se keh dijiye ke apni nazrein neechi rakhein aur apni sharmgaahon ki hifaazat karein aur apna banaao singaar zaahir na karein, magar jo us mein se khula hi rehta hai.
📓 [Sura-e-Noor: 31]
❧ Jo aurtein zewraat riyaakaari aur dikhaawe ke liye pahenti hain, qayaamat ke din un ko sakht azaab diya jaayega. Huzoor ﷺ ne farmaaya ke aye aurto! Kya chaandi ke zewar se tumhaari zeenat ka kaam nahin chal sakta. Khabardaar! Tum mein se jo aurat dikhaawe ke liye sone ka zewar pahenegi us ki wajah se zaroor us ko azaab diya jaayega.
📓 [Abu Dawood: 4237]
(..Next - 110, Soon In Sha Allah..)
*✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
Comments
Post a Comment