Aasaan Deen Part 102
✾✵✾
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
*Bismillahirrahmanirrahim*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ Aasaan Deen ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*❥ Part - 102 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
❧ Matlab yeh hai ke lakdi aur chhadi jaisi maamooli cheez bhi ijaazat ke bagair nahin lena chaahiye, hatta ke hansi mazaaq mein bhi aisa na kare. Aur agar kisi ki koi cheez galti se leli hai, to us ko waapas kar dena chaahiye, yeh nahin samajhna chaahiye ke yeh to ek maamooli cheez hai is ko waapas karne ki kya zaroorat hai.
❧ Sahaaba RaziyAllahu anhum ke zamaane mein ek martaba chand hazraat Huzoor ﷺ ke paas baithhe huwe the, un mein se ek shakhs uthh kar chala gaya aur apna joota pahenna bhool gaya, kisi ne un ke joote ko (mazaaq mein) uthha kar apne neeche rakh liya, thodi der ke baad woh shakhs waapas huwa aur kaha ke joota kahaan hai? Logon ne kaha ke maaloom nahin, itne mein un ko apna joota ek shakhs ke neeche nazar aaya, to unhon ne kaha ke yahaan hai, is par Huzoor ﷺ ne farmaaya: Momin ko pareshaan karna kaisa hai! Us ne kaha: Ya Rasoolullah! Main ne mazaaq mein aisa kiya tha. Lekin Huzoor ﷺ ne 2 ya 3 martaba yahi farmaaya ke momin ko pareshaan karna kaisa hai!
📓 [Mo'jame Kabeer: 980]
(..Next - 103, Soon In Sha Allah..)
*✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
Comments
Post a Comment