Aasaan Deen Part 104
✾✵✾
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
*Bismillahirrahmanirrahim*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ Aasaan Deen ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*❥ Part - 104 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
❧ Rasoolullah ﷺ ne poori Ummat ko rahamdili, afw wa darguzar aur lutf wa ehsaan ka muaamla karne ki taaleem di hai, Hazrat Uqba Bin Aamir RaziyAllahu anhu kehte hain ke main Rasoolullah ﷺ ke paas aaya, to Aap ﷺ ne mujh se farmaaya: Aye Uqba Bin Aamir! Us se jodo jo tum se tode, us ko do jo tumhein mahroom kare aur use maaf kar do jo tum par zulm wa ziyaadati kare.
📓 [Musnade Ahmad: 17452]
❧ Khud Huzoor ﷺ afw wa darguzar ki sifat ke saath is qadr muttasif the ke duniya mein is ki misaal nahin milti, kuffaar wa mushriqeen ne Aap ﷺ ko kitni sakht takleefein di, woh log jo kuchh Aap ﷺ ke khilaaf kar sakte the sab kar guzre, magar jab Aap ﷺ ko un par galba haasil huwa, to saare logon ko maaf kar diya, haalaanke agar Aap chaahte to un se ek ek zulm ka badla le sakte the, lekin Aap ﷺ ne farmaaya: Aaj tum par koi malaamat nahin, jaao tum sab aazaad ho.
📓 [Zaadul Ma'ad: 3/356]
(..Next - 105, Soon In Sha Allah..)
*✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
Comments
Post a Comment