Aasaan Deen Part 93

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                   *❥ Part - 93 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​

❧ Gunaahon se toba wa istigfaar na karne ki wajah se kaafi nuqsaan hota hai, dil-o-dimaag par taareeki chha jaati hai aur gunah ki qabaahat dil se nikal jaati hai, jis tarah aadmi ka kapda maila hojaata hai, to us ko saabun se dho dete hain, isi tarah gunah karne se aadmi ka dil ganda hojaata hai aur us ko saaf karne ka zariya "Toba wa Istigfaar" hai. Jab insaan Allah Ta'ala ke saamne apne gunaahon ka eteraaf kar ke sachchi pakki toba kar leta hai to woh gunaahon se bilkul paak-o-saaf hojaata hai.

❧ Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab momin banda koi gunah karta hai, to us ki wajah se us ke dil par ek siyaah nukta lag jaata hai phir jab woh us gunah se ruk jaata hai aur toba wa istigfaar kar leta hai, to (woh kaala nukta khatm hojaata hai aur) dil bilkul saaf hojaata hai (aur agar us ne toba wa istigfaar nahin kiya) aur mazeed gunah karta raha to dil ki woh siyaahi badhti jaati hai yahaan tak ke poore dil par chha jaati hai.

📓 [Tirmizi: 3334]

❧ Yeh baat zahen mein rehni chaahiye ke toba ki qubooliyat ke liye 3 shartein hain:
(1) Gunah ka ehsaas hote hi ruk jaana.
(2) Us kiye huwe gunah par naadim aur sharminda hona.
(3) Yeh pakka iraada kare ke aainda kabhi yeh gunah nahin karoonga. Lekin yeh us waqt hai jabke us gunah ka taalluq bandon ke huqooq se na ho aur agar us ka taalluq bandon ke huqooq se ho, to us ko ada karna zaroori hai, maslan kisi par bohtaan baandha ho to us se apna qasoor maaf karwaaye ya kisi ka maal hadap kar liya to us ko ada kare, is ke bagair toba mukammal na hogi.

  (..Next - 94, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book

 
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30

Aasaan Deen Part 61