Aasaan Deen Part 92
✾✵✾
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
*Bismillahirrahmanirrahim*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ Aasaan Deen ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*❥ Part - 92 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*(42)➾ Toba wa Istigfaar*
❧ Toba wa istigfaar ka matlab hai ke jab bande se koi galti ya koi gunaah sarzad hojaaye, to Allah Ta'ala ke saamne apni galti ka iqraar kare aur us par sharmindagi aur nidaamat ka ehsaas ho aur Allah Ta'ala se maafi maang le aur ahad kare ke aainda kabhi aisi galti aur gunah nahin karega.
❧ Allah Ta'ala maafi ko bahot pasand farmaate hain, aur maafi maangne waalon se bahot khush hote hain, khud Allah Ta'ala ne bandon ko apne gunaahon se maafi maangne aur toba karne ka hukm diya hai, ek jagah irshaad farmaaya: Aye Imaan waalo: Allah se sachchi pakki toba karo, ummeed hai ke tumhaara Rab tumhaare gunah ko mita dega aur aisi Jannat mein daakhil karega jis ke neeche nehrein behti hon gi.
📓 [Sura-e-Tehreem: 8]
❧ Rasoolullah ﷺ ne bhi tamaam logon ko toba wa istigfaar karne ki hidaayat di hai aur is ki fazeelat bayaan farmaai hain, is liye jab bhi kisi se koi gunah hojaaye, to use fauran Allah Ta'ala se maafi maang leni chaahiye, Huzoor ﷺ ka irshaad hai ke Allah Ta'ala farmate hain: Tum raat din khataaein karte ho aur sirf main tumhaare tamaam gunaahon ko maaf kar sakta hoon, mujh se magfirat Talab karo main tumhaare saare gunaahon ko maaf kar doonga.
📓 [Sahih Muslim: 6737]
(..Next - 93, Soon In Sha Allah..)
*✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
Comments
Post a Comment