Aasaan Deen Part 86

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                   *❥ Part - 86 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​

*​(38)➾ Gasab ka wabaal*

❧ Kisi doosre ki koi cheez us ki marzi ke bagair le lena "Gasab" kehlaata hai, yeh naajaaiz aur haraam hai, gasab ka wabaal itna sakht hai ke us se insaani zindagi ka saara sukoon-o-chain khatm hojaata hai, yeh aapas mein fitna wa fasaad ko janm deta hai, jis ki wajah se aapsi ladaai jhagde ka maahol paida hojaata hai. Bahot si martaba aisa hota hai ke ek insaan doosre insaan ke makaan, khet aur dukaan ko naajaaiz taur par hadap kar leta hai to un donon ke darmiyaan saalha saal tak ladaai chalti hai, qati-o-khoon ka baazaar garm ho jaata hai aur muqaddame tak ki naubat aajaati hai aur us muqaddame mein donon pareshaan ho jaate hain, donon ko court ke dhakke khaane padte hain aur bedareeg maal kharch karna padta hai.

❧ Gasab karna bahot buri aadat hai, gasab karne waale insaan ko kabhi dili itmenaan naseeb nahin hota, woh hamesha pareshaan rehta hai, pareshaan kiyun na ho, jab ke us ne doosre ki cheez zabardasti le kar use takleef pohnchaai aur us par naahaq zulm kiya aur saath hi us ke liye naahaq qabza ki hui cheez ka istemaal haraam aur naajaaiz huwa, kya aise shakhs ko kabhi dil ka sukoon haasil hoga ! Hargiz nahin, aisa shakhs hamesha pareshaan rahega, choonke gasab karne waala ek haraam cheez ko istemaal karta hai, to us ki apni halaal aur jaaiz cheezon mein aahista aahista barbaadi aana shuru hoti hai aur use pata bhi nahin chalta.

  (..Next - 87, Soon In Sha Allah..)

   *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book

  Islamicgrp.weebly.com
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Comments

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Part 122

Aasaan Deen Part 30

Aasaan Deen Part 61