Aasaan Deen Part 105
✾✵✾
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
*Bismillahirrahmanirrahim*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ Aasaan Deen ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*❥ Part - 105 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*(50)➾ Parde ka ehtemaam karna*
❧ Islaam ne aurton ke liye parde ka jo nizaam banaaya hai woh insaani fitrat ke mutaabiq bahot ahem aur zaroori hai isi mein aurton ka tahaffuz aur un ki iffat wa asmat ki hifaazat hai aur zaahiri wa baatini buraaiyon se rokne ka zariya hai, balke muaashare ki paakeezgi ka madaar isi par hai. Is liye tamaam aurton ko achchhi tarah parde ka ehtemaam karna chaahiye, Quraan-o-Hadees mein parde ki badi taakeed aayi hai.
❧ Allah Ta'ala ka irshaad hai: Aur apne gharon mein qaraar ke saath raho aur (gair mardon ko) banaao singhaar dikhaati na phiro, jaisa ke pehle jaahiliyat mein dikhaaya jaata tha.
📓 [Sura-e-Ahzaab: 33]
❧ Ek doosri jagah Allah Ta'ala ne ishaad farmaaya: Aye Nabi! Aap apni beewiyon, apni betiyon aur musalmaanon ki aurton se keh do ke woh apni chaadarein apne (munh ke) oopar jhuka liya karein.
📓 [Sura-e-Ahzaab: 59]
(..Next - 106, Soon In Sha Allah..)
*✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
Comments
Post a Comment