Aasaan Deen Part 99
✾✵✾
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
*Bismillahirrahmanirrahim*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ Aasaan Deen ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*❥ Part - 99 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*(47)➾ Fuzool kharchi na karna*
❧ Kisi sahi masraf mein zaroorat se ziyaada kharch karna "Fuzool kharchi" kehlaata hai, misal ke taur par ham ko apna kaam karne ke liye ek qalam kaafi hai, magar ham apni badaai zaahir karne ke liye teen chaar qalam khareed lein, to yeh israaf aur fuzool kharchi hai.
❧ Yeh ek buri sifat hai, fuzool kharchi karne se insaan ki taaqat aur daulat donon barbaad hote hain. Aur ek waqt aisa aata hai ke unhein bahot afsos karna padta hai, baaz martaba fuzool kharchi insaan ki kaamyaabi mein rukaawat ban jaati hai. Jo log fuzool kharchi karte hain woh aam taur se khair aur neki ke kaamon se door hote chale jaate hain aur bure kaamon mein mubtela hojaate hain; kiyun ke fuzool kharchi insaan ko apni khwaahish ke mutaabiq amal karne par ubhaarti hai aur galat aur naamunaasib kaam bhi karaadeti hai. Islaam ne fuzool kharchi se mana kiya hai. Qur'aane Kareem mein fuzool kharchi karne waalon ko shaitaan ka bhaai kaha hai.
❧ Allah Ta'ala ne farmaaya: Quraabatdaar (rishtedaar) ko us ka haq dete rehna aur mohtaaj aur musaafiron ko bhi dete rehna aur (maal ko) bemauqa mat udaana, (kiyun ke) beshak bemauqa (maal) udaane waale shaitaanon ke bhaai hain aur shaitaan apne Rab ka bada naashukra hai.
📓 [Sura-e-Isra: 26,27]
(..Next - 100, Soon In Sha Allah..)
*✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
Comments
Post a Comment