Aasaan Deen Part 112
✾✵✾
*︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
*Bismillahirrahmanirrahim*
*︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
*❀ Aasaan Deen ❀*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*❥ Part - 112 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*(53)➾ Bila zaroorat ghar se baahar na nikalna*
❧ Aurton ka asl maqaam un ka ghar hai, choonke ghar se baahar fitne hi fitne hain, is liye un ka gharon mein rehna aur bila zaroorat ghar se baahar na nikalna ziyaada achchha hai aur fitnon se bachne aur shaitaani nigaahon se hifaazat ka zariya hai,
❧ Allah Ta'ala ka irshaad hai: Aur apne gharon mein qaraar ke saath raho, aur (gair mardon ko) banaao singaar dikhaati na phiro, jaisa ke pehli jaahiliyat mein dikhaaya jaata tha.
📓 [Sura-e-Ahzaab: 33]
❧ Yahi wajah hai ke un par sirf ghar ke androoni kaamon ki zimmedaaari daali gai hai aur ghar se baahar ke tamaam kaamon se unhein aazaad kar diya gaya hai aur ghar se baahar ke kaamon ki saari zimmedaari mardon ke oopar daali gai hai, neez namaaz jaisi ahem tareen ibaadat ko ada karne ke liye afzal jagah un ka ghar qaraar diya gaya hai.
❧ Huzoor ﷺ ka irshaad: Aurat ka namaaz padhna kamre ke andar behtar hai kamre ke sahen mein padhne se, aur kothhri mein padhna behtar hai bade kamre mein padhne se.
📓 [Abu Daawood: 570]
(..Next - 113, Soon In Sha Allah..)
*✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
Comments
Post a Comment